Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

Aik Ghazal (Steve Almas)

1 view
Skip to first unread message

Steve Almas

unread,
Jun 20, 1998, 3:00:00 AM6/20/98
to
Kuch dinon say yeh Ghazal kay chand ashaar Zahan main aa rahay thay, Paish ker raha hoon. Gar qabool uftad..........    Yeh ashaar kai dilon ki tarjumani karein gay.

Sheeshay kay ghar banaye thay ham nay naseeb kay
Pather diye to hath main jaa kaer raqeeb kay

Jiss nay hamaaray dill ki daoulat bhi bant di
Ghar kar diya hawalay aisay naqeeb kay

Dinn rat jiss nay kaatay hon maqtil ki rah main
Dukh uss say jaa kay poochiye gham ki saleeb kay

Woh dinn bhi kaya thay ham bhi miltay thay piyar say
Naaz ham nay bhi uthaye thay apnay habeeb kay

Bijli ki zad main aashian aaya hay jiss ka aaj
Naalay sunnay hain ham nay bhi uss andleeb kay

Beemariye dill ki dooa ALMAS kiss say lain
Bigrhay hooay hain tai'wer apnay tabeeb kay


Steve Almas
http://members.tripod.com/~AlmasS/index.html

0 new messages