muHtaram Raj Kumar SaaHib, aadaab-o-tasliimaat.
Vijay SaaHib has welcomed you back into ALUP with words that can not
be improved upon, since who can beat Ghalib's "andaaz-i-bayaaN"?
But...
dil se jo baat nikaltii hai, asar rakhtii hai
par nahiiN, taaqat-i-parvaaz magar rakhtii hai
So, mere "dil kii baat" apnii parvaaz meN shiiraaz jaa pahuNchii hai
jahaaN ke ek baashinde ne merii tarjumaanii kuchh in alfaaz meN kii
hai.
guftah buudam cho biyaa'ii Gham-i-dil baa tu bi-goyam
chih bi-goyam kih Gham az dil bi-ravad chuuN tu biyaa'ii
zaahir hai maiN aap ko kabhii "tuu" kah kar muxaatib ho nahiiN saktaa,
is liye
maiN ne kahaa thaa jab aap aa'eN ge to apne dil ke Gham aap ko
bataa'uuN gaa
ab kyaa bataa'uuN? kih dil ke saare Gham chale jaate haiN jab aap aa
jaate haiN
...aur aap aa ga'e haiN!
xush-aamaded, Raj Kumar SaaHib.