Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

Does God have sense of humor?

126 views
Skip to first unread message

Anil Kala

unread,
Mar 22, 2013, 2:11:50 AM3/22/13
to

Can we have some example of God's sense of humor in Urdu poetry.

Anil Kala

unread,
Mar 24, 2013, 1:02:49 AM3/24/13
to
On Friday, March 22, 2013 11:41:50 AM UTC+5:30, Anil Kala wrote:
> Can we have some example of God's sense of humor in Urdu poetry.

I guess yeh mashaqqat Mukhtalif Saahib ko karni paRegi

Nazm

ek roz mujhe KH'aab meN
Allaha se mulaakaat huii
Kahne lage 'Mukhtalif'
ye bhi koi baat hui
abhi to waqt nahiiN huaa
yahaaN ka ticket kisne diyaa?
Hamne kahaa saaHib
gaye to ham the dozaKH
par haal wahaaN buraa hai
tinkaa bhar jagah bhi
wahaaN par nahiiN hai
laakhoN khaRe the baahar
phir ik mulaazim aayaa
kahne laagaa, Bhaai!
tum ho to nahiiN namaazi
ek aNdhe ko kabhi tum ne
thi saRak paar karaai
so diyaa ticket yaahaaN kaa
aur kiyaa hamko ruKhsat.

dekho mere bhai
ye CHoTi si jagah hai
aur aadmi bohat haiN
haal ab to ye hai
ham to apne kamre se
KHud hi be-daKHal haiN
phir hamne aNdar jhaaNkaa
do daaRhi waale baNde
SaahiB ke yaaN jame the
Ye kauN? hamne puuchaa
Kahne lage Saahib,
tasbeeh jo liye hai
woh hai baRaa namaazii
Aur uske baaiiN jaanib
Farari waalaa saadhu
din raat naam lekar
mujh ko pukaarte haiN
dushwaar hai ab jiinaa
in ke shorgul meN
chaaho to tum bhi in ke
saath saath rah le
lekiN jahaan waalaa
ghar apna mujh ko de do.

- Mukhtalif

Anil Kala

unread,
Mar 24, 2013, 11:50:37 PM3/24/13
to
>
> dushwaar hai ab jiinaa
>
> in ke shorgul meN
>


Is the correct word shor o gul?

Rajiv Chakravarti

unread,
Mar 25, 2013, 2:39:51 PM3/25/13
to
On Sunday, March 24, 2013 10:50:37 PM UTC-5, Anil Kala wrote:
> Is the correct word shor o gul?

shor-o-Ghul (with Ghain):
http://dsal.uchicago.edu/cgi-bin/philologic/getobject.pl?c.6:1:369.platts

b_man...@yahoo.com

unread,
Mar 26, 2013, 9:26:06 PM3/26/13
to
God does, indeed, have a sense of humor.
We don't need to go far to see this. 

Hamaare ALUP nagar ke marGhuub shaa'ir janaab-e-moHtaram Raj Kumar "Qais" saahab kaa yeh kalaam pesh-e-Khidmat hai.

(aur yeh ko'ii man-ghaRat baat nahiiN hai, janaab Khud wahaaN ho aaye haiN, aur tajrubaati fasaanah suna rahe haiN

:)

------------------------------------------------------------------------------------


Marne ke b'aad




jaisa ke nazm ke unvaan se zaahir hai, yeh 'agle jahaan' ki baat hai! is zimn meiN aap jaante hi haiN k, is gambheer mauzoo' par, hamaare mazaahib bahut kuchh kehte chale aaye haiN magar, Khudaa jhooT na bulvaaye, un ki kahii hu’ii baateN kam-az-kam mere palle to naheeN paReeN! is liye, maiN ne socha k maiN kyooN na aap ko voh baat bataata chalooN jis ka tajriba maiN ne ba-nafs-e-nafees kiyaa hai!

peshtar is ke k maiN yeh nazm aap ke saamne rakkhooN, maiN aap se do-aek baateN kaihna zaroori samajhta hooN:

1. mere is ba’ad-az-marg muqaddame meiN, mere ‘prosecutor' mujhe 'ahqar' keh kar Khitaab karte haiN ---
ahqar = a contemptible person!

2. aur, is muqaddame meiN, maiN ne "mashii’at" (ya'ani-k, the will of God, Khudaa ki razaa, Bhagvaan ki marzii) ko aek 'lady judge' qaraar diyaa hai. Luckily for me, the word "mashii'at" is also a feminine noun!

3. is nazm meiN, aek maqaam par 'fajr' aur 'ishaa' ka zikr aayaa hai --- yeh voh vaqt haiN jab k kuchh log apne Khudaa ke huzoor namaaz paRhte haiN aur kuchh log apne Bhagvaan ki aarti utaarte haiN. maiN jaanta hooN k in meiN se pehle lafz ka munaasib talaffuz 'fajr' hai magar mujhe is nazm meiN 'fajar' kehna paRaa hai. Again, luckily for me, this variation of pronunciation is an allowed one, though it is not the preferred one!

ba-har-haal, ab aap yeh Ghair-ma’amooli nazm suniye.

---------

1. jab ba'ad-e-marg mujh ko hu’aa Haq ka saamnaa
ai'maal apne soch ke dil kaaNpne lagaa

2. jannat ke saare Khwaab fazaa meiN bikhar gaye
aaNkhoN meiN ghoomne laga dozaKh ka silsila

3. itne meiN ik farishta, ba-sad-shaan-o-tamkanat,
bolaa k "ham se suniye is ‘ahqar’ ka maajraa!

4. Khaak-e-zameeN se is ko maHabbat to thii zaroor
par aasmaaN ke faiz ka aiHsaas tak nah thaa!

5. fitrat se thaa lagaao kuchh aisaa k, raat din,
hairaan ho ke us ki taraf dekhtaa rahaa!!!

6. maKhlooq kii sifaat ka bhi paas thaa magar
itnaa na ho sakaa, kare Khaaliq ki bhi sanaa!

7. dunyaa ka thaa haraas na uqbaa ki fikr thii
taufeeq kaa tha ilm nah auqaat ka pataa!

8. vaa'iz se inheraaf thaa, zaahid se thaa gurez
apni hi dhun meiN mast thaa, be-naam-o-be-sadaa!

9. dair-o-haram ki raah meiN dukhte thay is ke paaoN
ho maikade ka qasd to jaataa tha dauRtaa

10. ilm-o-hunar ki khoj meiN GhaltaaN tha har ghaRii
ho ma'arfat ki baat to kehtaa tha: 'kyaa kahaa’?

11. kuchh shauq thaa to Husn-parastii ka shauq thaa
ruKhsaar-o-chashm-o-gesoo-o-lab par rahaa fidaa!

12. tiflii meiN thaa shareer, javaanii meiN be-hijaab
peerii meiN bhi shikaar-e-havas thaa yeh ‘be-hayaa’!

13. haalaaN-k sun chukaa thaa maqoola yeh baar-haa
'kehte haiN jis ko ishq, Khalal hai dimaaGh kaa'

14. phir bhi tamaam umr rahaa aashiqii meiN choor
thii baNdagii se aar, fajar ho ke ho ishaa!

15. aise meiN shaa'iri ka junooN bhi tha ham-rakaab
mazmooN magar vuhii k 'shab-e-vasl ho ataa’!

16. yaaN bhii jo sochtaa hai to hoor-o-qusoor kii
jannat meiN bhii kare ga ko’ii hashr yeh bapaa

17. apni to raaye hai k is ‘ahqar’ ke vaaste
dozaKh se kam naheeN hai munaasib ko’ii sazaa!"
 
----------

18. sun kar yeh fard-e-jurm, mashii’at bhi haNs paRii!  
Khud ko saNbhaalti hu’i, bolii ----- "suno zaraa!

19. aisaa bhi kyaa hai? chhoRiye is ‘Khasta-haal’ ko
ai'maal go bure the magar shaKhs hai bhalaa!

20. maanaa k aib the, vale Khoobii to dekhiye
Haq-aashnaa naheeN tha, bashar-aashnaa to thaa!!!

21. is riNd-e-saada-lauh pe kyaa faisala sunaayeN?
jannat bhi naa-ravaa ise, dozaKh bhi naa-ravaa!

22. apnaa to yeh Khayaal hai, is 'Khush-kalaam' ko
darbaar-e-Khaas meiN kareN masnad ko’ii ataa!

23. maaNge ko’ii bhi shai, sar-e-tasleem Kham karo!
kehne do is ko she'r --- par ik shart do lagaa!

24. chhoRe Ghazal ko aur qaseede kahaa kare!
har sub'h apni Hamd ho, har shaam ho Sanaa

25. sunte haiN, aek shaa'ir-e-jaadoo-bayaaN hai yeh
ham bhi to dekheN, is ke hunar ki adaa hai kayaa?"

26. sun kar yeh baat Qais to hairaan raih gayaa
ghabraa ke bola: "baihn ji, sau baar shukriya"!




==========================

~Raj Kumar "Qais"

Anil Kala

unread,
Apr 10, 2013, 12:19:51 PM4/10/13
to

aik alsaaii do-pahar
maiN akela o awaaraa
qadam mere Dagmag Dagmag
raah chaltaa tha magar
phir wahaan lekin jahaaN
muRtii thi saRak jahaaN
Peepal ka tha ik daraKHt
woh bhi tanhaa beKHbar
is taraf zamiin par
maiN banataa tha kuch naqs
ujali jhilmil ret par
phir wahaaN Peepul ke niiche
tha khaRaa Morgan Freeman
detaa tha mujh ko sadaa
us ka ye ruKH raas na aayaa
ye kambaKHt yahaaN kyuN na aayaa?
palak jhapakte hi woh tha
mere baaiN jaanib aa baiThaa
Kyaa kahte ho? hamne poochaa
aik aur holiday!
bhalaa maiN kyuN?
Jim Carey ne to baTTa lagaa diyaa
tum shair ho ye achchaa hai
Mujhe to aap m'aaf rakho
woh kyuN? tha Freeman hairaan
roz ba roz ka jhaaRu pochaa
us par building chaar maNzilaa
mujhe m'aaf rakho
Kahne lagaa woh,
lekin butoN ka hogaa saath
lambi gaaRi aur sharaab.
us par mahal Beverly Hill par!
Mujhe m'aaf rakho saahib
ye sab to hai aik pill ka kamaal
Maya moh hai man ka janjaal

"alam kisu hakeem ka baandha tilism hai
kuch to aitbaar bhi ho kainaat ka!"

Mujhe to aap m'aaf rakho



--------- Mukhtalif

vij...@gmail.com

unread,
Apr 15, 2013, 1:48:21 PM4/15/13
to
On Wednesday, April 10, 2013 5:19:51 PM UTC+1, Anil Kala wrote:

>
> "alam kisu hakeem ka baandha tilism hai
>
> kuch to aitbaar bhi ho kainaat ka!"
>
>

Mukhtalif sahib: because I like this she'r so much:

aalam kisu hakiim ka baaNdhaa tilism hai
kucch *ho* to aitbaar bhii ho kaainaat ka

Regards,

Vijay

I have also seen it written as "kucch ho to aitbaar ho is kaainaat ka" but I prefer the above version.

Anil Kala

unread,
Apr 16, 2013, 1:14:08 AM4/16/13
to
>
> aalam kisu hakiim ka baaNdhaa tilism hai
>
> kucch *ho* to aitbaar bhii ho kaainaat ka
>
>
>
> Regards,
>
>
>
> Vijay
>
>
>
> I have also seen it written as "kucch ho to aitbaar ho is kaainaat ka" but I prefer the above version.

If that is the case then why you have not included this she'r in Miir's immortal ash'aar thread?

btw Zafar Saahib interpreted this she’r not so much as some kind of existential conundrum but in more worldly manner i.e. the poet is in deep ennui and will believe this world has juice only if something really exciting happens.

However if the wording changes to 'ho is' kainaat then story dramatically changes. Then ho -> is not 'happen' but 'thing'
0 new messages